Kya farmate hain ulama-e-kiram is masle mein: Zaid ki shadi ek shakhs ke yahan tay payi, uske yahan usi din do baratein aayi thin. Jab nikah ho chuka toh yeh maloom hua ki Zaid ka nikah us ladki se ho gaya hai jisko woh nahi chahta tha aur na hi us ladki se Zaid ka nikah hona tay hua tha. Ab Zaid ki is ghalat shadi ho jane ki wajah se Zaid pareshan hai. Aur woh us ladki ko talaq dena chahta hai. Kya woh talaq de sakta hai? Mutalla farmayein, karam hoga.
الجواب بعون الملك الوهــــــــاب
Agar us ladki ka naam aur uske walid ka naam zahir kiya gaya, neez ladki ki sifat bhi bayan kar di gayi thi, ki woh badi hai ya choti hai ya manjhli, gharz uski ta'ayyun gawahon ke samne ho gayi toh nikah sahih ho gaya. Ab agar Zaid kisi wajah se use rakhna nahi chahta toh talaq de sakta hai. Aur agar gawahon ke samne ladki ki ta'ayyun nahi ki gayi toh woh nikah sahih na hua. Fatawa-e-Alamgiri mein hai:
وَلَوْ كَانَ لِرَجُلٍ بِنْتَانِ كُبْرَى اسْمُهَا عَائِشَةُ وَصُغْرَى اسْمُهَا فَاطِمَةُ وَأَرَادَ أَنْ يُزَوِّجَ الْكُبْرَى وَعَقَدَ بِاسْمِ فَاطِمَةَ يَنْعَقِدُ عَلَى الصُّغْرَى
(Al-Fatawa al-Hindiyya, Jild 1, Safa 270).
والله اعلم باالصواب و رسوله صلى الله عليه وسلم
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔