Kya farmate hain ulama-e-millat-e-Islamia is masle mein:
Zaid ne kaha ke Bakr ke ghar ka pakka hua nahi khaunga. Ab agar ghar ka pakka hua na diya jaye, kisi aur ghar ka pakka hua use diya gaya to kha sakta hai? Ya khana na dein balkay phal fruit dein to yeh baghair kaffara-e-yameen jaaiz hai ya nahi? Aur pehli surat mein kya hoga? Qasam ka kaffara kya hai? Kitab-o-Sunnat ki roshni mein jawab inayat farmayen. Faqat.
الجواب بعون الملك الوهـــاب
Surat-e-mas'oola mein qasam waqay na hogi, lehaza Zaid Bakr ke ghar ki har cheez kha sakta hai. Qasam ka kaffara das miskeen ko dono waqt pet bhar ausat darja ka khana khilana ya das miskeen ko ausat darja ka kapra pehnana ya ek ghulam azad karna hai aur agar in teeno ki taqat na rakhta ho to teen rozay rakhna hai.
بقولہ تعالی :” فَكَفَّارَتُهٗۤ اِطْعَامُ عَشَرَةِ مَسٰكِیْنَ مِنْ اَوْسَطِ مَا تُطْعِمُوْنَ اَهْلِیْكُمْ اَوْ كِسْوَتُهُمْ اَوْ تَحْرِیْرُ رَقَبَةٍؕ-فَمَنْ لَّمْ یَجِدْ فَصِیَامُ ثَلٰثَةِ اَیَّامٍ“ (المائدة : 89) فقط
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔