Kya farmate hain ulama-e-deen is masla mein ke musalman mard ki shadi Isai aurat se ho sakti hai, jab ke Isai khayal ki hai aur Isai Hazrat Isa علیہ السلام ko Khuda ka beta tasawwur karte hain?
Bahar-e-Shariat mein hai Yahudiya aur Nasraniyah se musalman ka nikah ho sakta hai, magar chahiye nahin ke is mein bahut se mafasid ka darwaza khulta hai, (Alamgiri wagaira). Magar yeh jawaz us waqt tak hai jab ke woh mazhab-e-Yahudiyat ya Nasraniyat par ho, agar sirf naam ke Yahudi ya Nasrani hon aur haqeeqat mein nichari (naturalist) aur dahriya (atheist) mazhab rakhti ho, jaise aaj kal umooman Nasara ka koi mazhab hi nahin to un se nikah nahin ho sakta, aur na un ka zabiha jaiz, balkeh un ke yahan zabiha hota hi nahin.
واللہ تعالی و رسولہ الا علیٰ اعلم و احکم بالصواب۔
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔