Kya farmate hain ulama-e-deen wa muftiyan-e-shara-e-mateen is masle mein:
Masjid ka imam zabiha karne ke waste muqarrar kar diya jaye to imam ke peeche shar'an namaz padhne mein koi haraj to nahi? Mustaqil taur par woh imamat kar sakta hai ya nahi? Jawab ba-sawab marhamat farma kar mashkoor aur mamnoon farmayein. Faqat was-salam.
الجواب بعون الملك الوهـــــــــــاب
Zibah karne wale imam ke peeche namaz jaaiz hai basharte-ke deegar sharait-e-imamat paye jate hon. Faqat.
والله اعلم باالصواب و رسوله صلى الله عليه وسلم
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔