Kya farmate hain ulama-e-deen wa shar'e mateen ki ba'd namaz-e-Jumu'ah wa Eidain musafaha karna ja'iz hai ya nahi?
Musafaha ja'iz hai aur hadith se iska jawaz mutlaqan sabit hai. Namaz ke ba'd ya Eid ke din musafaha karna isi mutlaq mein dakhil hai. Apni taraf se mutlaq ki taqyeed (qaid lagana) batil hai. واللہ تعالیٰ اعلم
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔