Kya farmate hain ulama-e-deen wa muftiyan-e-shar'a mateen zail ke masle mein:
Zaid barabar Urdu likhna padhna bhi nahi jaanta hai aur na woh kisi idara se farigh hai, aisi surat mein kya Zaid ko taqreer karne ya deeni masail par behas-o-mubahisa karne ya masla batane ka haq hasil hai?
الجواب بعون الملك الوهـــاب
Taqreer karna ya deeni behas-o-mubahisa karna Maulana ka kaam hai. Lehaza Zaid ko na taqreer karne ka haq hai na deeni masail mein behas-o-mubahisa ki ijazat hai. Haan use itni ijazat hai ke ulama-e-ahle sunnat ki likhi hui kitabon ko padh kar sunaye ya kisi mu'tamad aalim ke bataye hue masle ko awwaam ke samne pesh kare. Magar apni taraf se raaye dene ki ijazat hargiz nahi.
والله اعلم باالصواب و رسوله صلى الله عليه وسلم
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔