Jo khana esaal-e-Sawab ke liye pakaya gaya ho woh khana sahib-e-nisab kha sakta hai ya nahi? Is khane ko esaal-e-Sawab karne wala kha sakta hai ya nahi? Jawab se nawazein ain nawazish hogi. Faqat.
الجواب بعون الملك الوهـــاب
Agar aam mayyat ke esaal-e-Sawab ki niyat se pakaya gaya ho to woh sirf fuqara o masakeen ka hissa hai. Kisi ghani ya Syed ke liye aisa khana khana munasib nahi. Haan agar buzurgan-e-deen ki niaz hai to usey ghuraba o aghniya sab kha sakte hain. Khud bhi tabarrukan khaye to koi haraj nahi. Shah Abdul Aziz Muhaddis Sahab ne apne fatawa mein likha hai ke: "Niyaz ka khana tabarruk ho jata hai". Faqat.
والله اعلم باالصواب و رسوله صلى الله عليه وسلم
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔