Hazrat Maulana Sahab السلام علیکم. Arz-e-guzarish hai ke yahan qareeb qareeb ek shakhs chalees saal ka hai, unke paas khud ki chalees acre ki zameen hai, iske alawa pandrah bees gaaye bail bhi hain, alawa das bakriyan bhi hain. Aur bade ladke ki shadi karne par jahez mein aath tola sona bhi mila qareeban 10/15 tola chandi bhi mili hai. Magar sona chandi bahu ke qabze mein hai. Magar baap beta sab ek hi saath hain, alag nahi hain, magar kheti kam aane se beech ki kami aati hai, khet se unko chhe hazaar ki fasal ho jati hai, magar aaj chhe saal se pandrah hazaar ka qarz chala aata hai. Lekin mahajan logon ko kuch kuch qarz de kar bhi saat aath hazaar ka qarz barabar barabar reh jata hai. Aur woh apne ghar mein khane ke liye aur kuch khet mein beej dalne ke liye do hazaar ka dhaan rakh lete hain. Ek saal ke liye agar aisi surat mein pura qarza chukana chahenge toh ghar mein khane peene ke liye kuch bhi nahi bachega aur pura qarz bhi ada na hoga. Toh in sab halat mein Zakat dena, Qurbani karna aur Sadqa-o-Khairat dena jaiz hai ya nahi? Bara-e-karam sawal ka jawab inayat karen. Main muntazir rahunga.
الجواب بعون الملك الوهاب
Surat-e-mas'oola mein Zakat wajib na hogi, albatta Sadqa-e-Fitr aur Qurbani wajib hogi. Zameen ki paidawar aasmani ya sailab ke pani se sairab hoti hai toh is paidawar mein 'Ushr ya'ni daswan hissa aur agar pani bahar se dena padta hai baghair pani diye fasal na hogi toh aisi zameen ki paidawar mein nisf 'Ushr ya'ni beeswan hissa dena wajib hai. Qarz 'Ushr se rokne wali cheez nahi. Faqat.
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔