Masla: Kya farmate hain muftiyan-e-kiram wa ulama-e-deen darj-e-zail masle mein: Abdul Rauf apni aurat ko maa-baap ke ghar chhor kar naukri karne ke liye gaya aur aaj qareeb das saal se zyada ho gaya na koi khorak na poshak apni aurat ke liye bheja aur na koi khabar kiya, na zindagi na maut ki khabar liya. Aurat ke maa-baap dono faut kar gaye, is aurat ko khana kapra dene wala koi nahi hai, ab iska natija yeh hua ke aurat ghair qaum ke ghar ja kar teen roz se thi. Jab musalmanon ko khabar hui toh bamushkil is aurat ko apne ghar qabze mein rakhe hain. Teen anjuman committee ki yeh arz hai ke aap masla dekh kar farmayen aur order den ke is aurat ko kisi musalman mard ke sath nikah kar diya jaye warna ek roz is aurat ke zariye khoon kharaba ho jaye ga?
الجواب بعون الملك الوهــــــاب
Har imkani koshish ki jaye ke Abdul Rauf apni biwi ko talaq de de ya biwi mehar waghera maaf kar ke shauhar se khula karaye agar is par Abdul Rauf raazi na ho toh anjuman ya wahan ke aam musalman islami hamdardi mein court ke zariye shauhar se talaq dilwayen. Islami qanoon ki ro se aurat baghair shauhar ke talaq diye ya inteqal kiye dusri shadi nahi kar sakti. Aurat ko chahiye ke khauf-e-khuda dil mein rakh kar aisi ghalti na kare jis se musalmanon ke jaan-o-maal mehfooz na reh saken. (1)
والله اعلم باالصواب و رسوله صلى الله عليه وسلم
(1) Lekin is zamane mein ulama-e-ahle sunnat ne is ki ijazat di hai ke shauhar agar mafqood-ul-khabar ho ya biwi ko chhor rakha ho, us ki khabar-giri na karta ho, naan-o-nafaqa wa huqooq-e-zaujiyat se mehroom kar rakha ho, toh aisi aurat dar-ul-qaza mein apni darkhwast de kar apna nikah faskh kara sakti hai. (Mufti Muhammad Naseem Misbahi)
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔