Mohtarami-o-Mukarrami السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
(1) Ladke aur ladkiyon ke liye deeni taleem seekhna kis umr se zaroori hai- Kyunke aaj kal bacchon ke maa-baap ko hi ilm nahi hai. Deeni taleem se bilkul na-waqif hain, maa-baap ki naseehat bacchon par aaj kal nahi hai, maa-baap se bacchon ki tabahi ho rahi hai. Kis umr se bacchon ko deeni taleem paane ke liye maa-baap ustad ke paas bhejein? Bilkul chhote-chhote bacche masjidon mein aakar baazaar bana rakhe hain. Agar ustad bacchon ko maara ya daraya to maa-baap ustad se jhagda karne ke liye tayyar ho jaate hain. Ladke ladkiyon ko kis umr se madrase mein daakhil karna chahiye? Yeh masla likh kar rawana karenge.
(2) Aur Shia mazhab imam ke peeche Hanafi logon ke liye namaz padhna jaiz hai ya nahi? Aur Shia mazhab wala koi mar gaya to Hanafi imam janaza padha sakta hai ya nahin? Is masle ko hal kar ke rawana karein? Shia walon ke gharon mein Hanfiyon ke liye khana khana jaiz hai ya nahi aur khane ki dawat qubool karna kaisa hai? faqath.
الجواب بعون الملك الوهـــاب
(1) Bacche mein samajh boojh paida ho jaye to uski ta'leem shuru kar deni chahiye. Umr ki koi qaid nahi. Ba'z bacche fitri taur par zaheen hote hain aur bahut kam umri mein sha'oor paida ho jaata hai. Jin bacchon se gandagi ka ehtemaal ho, un bacchon ko masjid mein aane se roka jaaye aur unke maa-baap ko bhi chahiye ke aise bacchon ko masjid mein na jaane dein. Ustad ko chahiye ke apne shagirdon ko aulad ki tarah samjhe. Agar ustad zaroorat padne par bacche ko saza de to bacchon ke walidain ko hargiz naaraaz nahin hona chahiye kyunke ustad baap se zyada meherbaan hota hai aur use shar'an saza dene ki ijazat hai.
(2) Shia Rafzi tabarraai ke peeche namaz batil mahaz hai. Hanafi imam ko Shia ke janaze ki namaz padhna haram, ashad haram aur gunah-e-kabeera hai. faqath.
والله اعلم باالصواب و رسوله صلى الله عليه وسلم
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔