Muharram ke dino mein dhol aur tasha bajana, lathi, bhala, talwar wagera ka kartab dikhana, saat Muharram ko mitti kodna aur taziya uthana jaiz hai ya nahi? Kya Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan sahab ne kagaz ka taziya banana jaiz qarar diya hai? Isko aqeedat se dekhna jaiz qarar diya hai? Taziya uthane ke liye jo chauk ke naam se chabutra banaya gaya hai kya yeh chauk banana jaiz hai? Agar jaiz nahi hai to jo banaya gaya hai usko barqarar rakha jaye ya mismar kar ke chauk ka naam-o-nishan khatam kar diya jaye? Maseeh-uz-Zaman, Maqam-o-Post: Midha, Ballia, UP.
Taziya banana khwah kagaz ka ho khwah kapde ka khwah lakdi ka khwah kisi cheez ka ho na-jaiz-o-gunah hai. Isi tarah taziye ke juloos ke sath ya kahin bhi dhol tasha bajana haram-o-gunah hai. 7 tareekh ya kisi tareekh ko mitti uthana bhi haram-o-gunah hai. Aise chauk ko khatam kar dena wajib hai. Mujaddid-e-Azam Aala Hazrat Imam Ahmed Raza قدس سرہ ne kahin bhi taziye ko jaiz nahi bataya hai, balki har qism ke taziye-o-taziyedari ko haram-o-gunah hone ka fatwa diya hai, jo Risala Taziyedari mein chap chuka hai. Lathi, talwar, bhale, wagera ki mashq mustahsan hai, magar taziye ke juloos ke sath na-jaiz-o-gunah. واللہ تعالی اعلم
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔