Kya farmate hain ulama-e-deen is masle mein ke ahl-e-Islam mein se koi shakhs bagharz-e-tamasha dekhne ke kisi mele, ahl-e-hunood ke, mein qasdan jaye to uski aurat nikah se bahar ho jati hai ya nahi? Agarche woh shakhs yeh to janta hai ke hunood ke mele mein jana gunah hai, aur us shakhs ke waaste kya hukm hai jo kisi raees-e-qaum-e-hunood ka mulazim hai, woh bawajhe mulazimath ke apne aaqa ke sath majbooran jaye. بینواتوجروا-
Kafiron ke mele mein jaane se aadmi kafir nahi hota ke aurat nikah se nikal jaye, jo log aise fatwe dete hain shariat-e-mutahhara par iftira karte hain, albatta is mein shareek hona musalman ko mana hai. Hadith mein hai:
من كثر سواد قوم فهو منهم- (كنز العمال في سنن الأقوال والأفعال - ط الرسالة – المتقي الهندي (٩ / ٢٢)
Tarjuma: Jis shakhs ne kisi qaum ki jamaati ta'daad mein izaafa kiya to woh unhi mein se hai.
Dusri hadith mein hai:
مَنْ جَامَعَ الْمُشْرِكَ وَسَكَنَ مَعَهُ فَإِنَّهُ مِثْلُهُ — (سنن أبي داود - ت محيي الدين عبد الحميد – أبو داود (٣ / ٩٣)
Tarjuma: Jo koi kisi mushrik ke sath jama hua aur uske sath thehra to beshak woh usi mushrik ki tarah hai. Ulama farmate hain musalman ko chahiye ke majma-e-kuffaar par ho kar na guzre ke un par la'nat utarti hai, aur zahir ke unka mela sad-ha kufr ke shi'aar aur shirk ki baaton par mushtamil hoga, aur yeh mumaana'at-o-izaala-e-munkir par qadir na hoga to khwahi-nakhwahi gunga shaitan aur kafir ka taabe'daar ho kar majma-e-kuffaar mein rehna aur unke kufriyaath ko dekhna, sunna musalman ki zillat hai, aur kafir ki naukri musalman ke liye wahi jaiz hai jis mein Islam-o-Muslim ki zillat na ho. نص عليه العلماء کما فی الغمز وغیرہ (Ulama kiraam ne iski tasreeh farmai, jaisa ke al-ghamz waghaira mein mazkoor hai). Rizq Allah ke zimme hai aur uske raaste khule hue, to uzr-e-majboori ghalat hai.
واللہ تعالی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم
(Aur Allah تعالیٰ sab kuch achi tarah janta hai aur us buzurg o azeem zaat ka ilm bada kamil aur zyada muhkam hai)
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔