Mas'ala: Az Maulvi Khalil Ahmad - Bairgi, Grade-Yeh (Bihar).
Main bamauza Bairgi imamat aur bachon ki deeni taleem ka kaam anjam deta hoon. Ek roz Ramzan Sharif ke mahine mein Juma ke din namaz se qabl 'إِنَّ اللهَ مَعَ الصَّابِرِین' ki roshni mein taqreer karte hue aage badha yahan tak ke Juma ka khutba aur Juma ki farz namaz jamaat ke sath maine padhaya. Isi roz Asr ki namaz se farigh hone ke baad mere hi mauza ke teen talib-e-ilm naujawan shakhson ne mujh par aitraz kiya ke aayat-e-mazkoora ka tarjuma karte hue taqreer ke darmiyan aap ne ye kaha ke Khuda sabr karne walon ke sath hai aur sabr karne wale gunahgar insaan jab Jahannam mein jayenge to Khuda bhi us insaan ke sath Jahannam mein jayega, jabke maine apni taqreer ke darmiyan koi aisa lafz istemaal nahi kiya hai jisme Khuda ko Jahannami qarar diya ho aur mere is qaul par mere muqtadiyon mein se sirf ek shakhs meri baat ki tasdeeq karta hai, baqi awam ko kuch yaad nahi ke maine kya kaha hai. Lehaza aap Huzoor-e-Aali se guzarish hai ke teen shakhson ke kehne ke mutabiq aur main ek muqtadi ke kehne ke mutabiq az roo-e-shara kis hukm ke sazawar hain? بينوا توجروا.
Note: Khuda ko Jahannami qarar dene wale ka aqd baqi raha ya nahi?
Agar aap ne ye jumla nahi kaha hai ke 'sabr karne wale gunahgar insaan jab Jahannam mein jayenge to Khuda bhi us insaan ke sath Jahannam mein jayega' magar talaba is jumle ko aap ki taraf mansoob karte hain to wo sakht gunahgar hain, tauba karen. Aur agar talaba ne is jumle ko bator-e-muariza pesh kiya ke jab Allah Ta'ala sabr karne walon ke sath hai to kya sabr karne wale gunahgar insaan jab Jahannam mein jayenge to Khuda bhi us insaan ke sath Jahannam mein jayega, to unhon ne apni jahalat se maeeyat e makaani samajh kar muariza pesh kiya, halanke maeeyat se murad،معیّت بالعون و النصر hai jo muttaqeen, muhsineen aur sabireen ke sath khas hai jaisa ke tafseeron mein mazkoor hai: ' المعية بالعون والنصر وهذه خاصة بالمتقين والمحسنين والصابرين '. Aur ya to unka maqsad ye tha ke aap ne maeeyat ke ma'ani ki tashreeh nahi ki, jo awam ke liye zaroori thi. Baharhal is andaz ki guftagu se ehtram lazim hai. وھو تعالی اعلم
Jawab Note: Istifta ki ibarat se zahir ye hai ke kisi ne Khuda Ta'ala ko Jahannami qarar nahi diya hai, lekin agar koi Khuda Ta'ala ko Jahannami qarar de ( نعوذ بالله من ذلك ) to uska nikah zaroor toot jayega ke ye sareeh kufr hai.
كتبه : Jalaluddin Ahmad Al-Amjadi,
15 Zil-Hijjah 1398 Hijri
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔