Qibla Mohtaram Buzurgwar السلام علیکم ورحمۃ اللہ و برکاتہ
Guzarish yeh hai ke aap ki khidmat mein yeh khat rawana kar raha hoon. Masla yeh hai ke ek sahib Ajmer Sharif gaye thay. Wahan se wapsi mein Delhi se ek eent lekar aaye hain aur usko ek kapde mein lapet kar dafan kiya hai aur mazar bhi banwaya hai aur Syed Roshan Chiragh ka chilla batate hain. Kya chilla ki shakal aisi hoti hai? Kya mangharat baat jaiz ho sakti hai? Iska masla aap jald az jald tehreer ke sath Hindi aur Urdu dono mein rawana karein. Faqat aap ki duao ka talib.
Soorat-e-Masoola mein ba-sehat-e-sawal na aisa mazar banana jaiz hai na aisa chilla. Shakhs-e-mazkoor par zaroori hai ke woh aise masnooi mazar aur chilla ke banane mein Khudaye Zul-Jalal se dare aur logon ko fareb de kar husool-e-zar-andozi se ijtinab kare. Faqat.
والله اعلم باالصواب و رسوله صلى الله عليه وسلم
کتبہ: محمد عبد الحلیم رضوی اشرفی
Jamia Arabia Islamia Nagpur
7 Shaban-ul-Muazzam 1392 Hijri.
⚠️ نوٹ: شیئر کارڈ میں اردو کے علاوہ دوسری زبان میں تصویر صحیح نہیں آتی، براہِ کرم پی ڈی ایف ڈاؤن لوڈ کیجئے۔